Ye jo sham dhal rahi hai

Sad Sunset
MOHSIN NAQVI

Ye jo sham dhal rahi hai

ye jo sham dhal rahi hai
isy sehl bhi na jano!
ye theher gai jo dil mein!
yehi shab halakaton ki
yehi dopehr karri hai

pas-e-gard-e-ehd-o-paimaa.n
ye jo hijr ki ghari hai
ye fishaar-e-jaa.n ka mousam
ye jo dil giriftargi hai
ye jo wehm hai lahu mein
ye jo sehm aankh mein hai
ye suna.n si waswason ki
jo khayal mein garri hai

ye jo ik khalish wafa ki
teri jour seh gai hai
ye jo "an-kahi kahani!"
mery dil mein reh gai hai
ye thakan rah-e-junoo.n ki
jo utar gai rago.n mein
yehi teri meri khushi hai
ye chiraagh chahaton k
jo hawa mein jal rahy hain
unhain kb tk sambhalain

chalo phr se torr daalen
wo tamaam ehd-o-paimaa.n
k main tujh mein jii raha hun
k tu mujh mein bas raha hai
chalo phr sy sochty hain
k main tujh se na-shanasa
k tu mujh sy ajnabi hai

wo jo rasm-e-dosti hai
wo rahy tu jaan slaamat
na rahy tu phr bhi jana.n
tera gham smbhalny ko
abhi zindagi pari hai

0 comments:

Post a Comment